DARSE JAMIUT TIRMIZI

 

CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 689,Hadees No :2571,

Hazrat Yazid Bin Noamah Zabi (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram 
(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jab koi Shaks Kisi se Dosti kare to Uska aur Uske Walid Ka Naam poochle aur Ye bhi Poochle ke wo Kis Qaum se hai,kyu ke Aysa Karne se Dosti me Mazbooti paida hoti hai.
(Vol/2,Hadees No :2571),
Dars : Dosti sirf Zubani ta’lluq ka Naam hi nahi hota hai,Balke Apne Chupe huve Raazo ko bhi zahir kiya jata hai,aur apni har cheez Khushi ho ya Gham har Baat ko apne Dost se batayi jati hai,jab ek Dost apna Raazdar hoga to Behter hai,ke uska aur uske walid aur wo kis Qaum se hai malum hona chahiye,taake Baad me khud bhi aur wo bhi Pasheman hone Na paye,
●● Aaj kal Social Media per Har kisi ko Dost banate ja rahe hai,Usme wo Koun hai,uska Haqeeqi Naam kiya hai,aur wo kaha ka rahne wala hai,aur wo kis qabeeleh ka hai,etc..kuch Sahi Pata Nahi hota hai,bus ayse logo se Dost karlete hai,aur Baad me pareshani sab ko mol leni padti hai,lehaza Hadees ko apnane me hi sabki Bhalayi hai.
Allah hame Nek taufeeq Naseeb kare..Ameen Ya Rabbi..
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like