DARSE JAMIUT TIRMIZI

CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 691,Hadees No :2573,

Hazrat Abu Hurairah (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram
(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jhooti karne walo ke Mooh me Mitti daaldo.
(Vol/2,Hadees No :2573),
Dars :Hadees e paak me sab keliye ye bhi dars milta hai,ke Jab hum koi kaam karne lage aur wo abhi pura Na huva ho aur apni Maznil tak pahonche ya Nahi Bus Log jab tareefe karne lage to Na hame Unki Tareefo per khush Hokar Ruk Nahi jana hai,balke aage apne maqsad aur kaam me lage rahna hai,kyu ke pata Nahi wahi tareef karne wale Mazammat karne lag jaye..!!?
■■ Hume bhi chahiye ke be wajah kisi ke tareef na kare warna wo shaks Apne Muta’allaq Dhoke me rah jayega to kisi ko dhoke me daalna aur dhoke me rakhna bhi Ek Bada Gunah hai.
Allah Hame jhooti Tareefe aur Be wajah Mazammato se mahfooz rakhe..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site…
www.anwaarulislam,com.

You might also like