DARSE JAMIUT TIRMIZI

CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 692,Hadees No :2574,

Hazrat Abu Saeed (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram
(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Dosti Karni hoto kisi Momin se hi Dosti karo,aur Apne khane me kisi ko Shareek karna ho to Parezgaar(Muttaqi) shaks ko karo.
(Vol/2,Hadees No :2574),
Dars : Momin kaisa bhi lekin wo Ghaddar Nahi hosakta hai,us per Bharosah aur Dosti karne se koi Noqsan bhi Nahi kyu ke Momin se Dosti kisi Dunya ki gharz se Nahi hoti hai,Balke Deen ke khatir hi hoti hai,to usme Noqsan ka aur faidah ziyadah hota hai,
Ek momin kisi doosre Momin keliye Dil me Boghz nahi rakhta hai,aur uske khilaf Batini sazishe bhi nahi karta hai,uske Bar khilaf ghair muslim ke paas ye sab buri Baate hosakti hai,lehaza Dosti momin se hi honi chahiye,
■■ Apne Rizq me kisi ko Shareek karna ho to parhezgaar logo ko shareek kare jinme Ulama e kiram,Huffaze Izam bhi shamil hai,inko Khilane aur pilane se Khana khatam Nahi hota hai,Balke Rizq me Mazeed Barkat hoti hai..
Allah hame Ache Dost Naseeb kare..Ameen Ya Rabbi..
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like