DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : NIKAH , DAY : 266,

Hazrat Maimoonah Binte S’ad(raziyallahuanha) se rivayat hai,kaha,Wo Aapki Khadimah thi,Rasool e Akram(sallallahualuhiwasallam) ne farmaya : Jo Aurat Apne Shohar ke Alawah Keliye Zeenat karti hai,to Wo Qiyamat ke din Us Tareeki ki tarah hoti hai,Jiski koi Raushni Nahi hoti hai.

(Vol/1,H,No :1200),
Dars : Aurat keliye Zeenat usi waqt Faidah deti hai,Jabke wo Zeenat sirf Apne Shohar keliye hi ho,Jab wo zeenat sirf Shohar keliye hoti hai,wo uskeliye Qiyamat me Rahmat banjati hai,aur agar doosre bhi dekhne keliye hoto wo Zahmat banjati hai,
■■ Azab : Aysi Aurat ko Qiyamat ke din Andhere Raasto me Koi Raushni Naseeb Nahi hogi,Kyu ke Usne Apni Zeenat ki Raushni doosro ki wajah se Dunya hi me khatam kardi hai,ab wo Aakhirat me Bhatakti huvi ghoomte rahegi,koi usko Raushni dene wala Na hoga…
Aur Aysi Aurato wa Ladkiyo ki Taraf Qiyamat ke din Allah Rahmath ki Nigah Nahi dalta hai,
Allahu Akbar Kabeera….
☆☆ Aaj Miya Bivi me Shak paida hone ki wujoohat me se Ek Ahem wajah yahi bhi hai,ke Bivi ka Doosre Mard dekhne keliye Zeenat karna hai,
●● Yahi Taleem ki Barkat thi ke Pichle Behtreen Zamaneh me Ghair Shadi Shudah Ladkiya Zeenat hi Nahi kiya karti,Kyu ke unke Zahen me yahi tha ke Zeenat shohar hi keliye ho,isi wajah se us daur me Na fitneh the,aur Na hi fasad huva karta…
Allah Hamari Islami Bahno ko apni Zeenat Sahi Maqam per karne ki Taufeeq ata farma..Ameen.

Plz..Share it to All,For more islamic services visit our web site..:anwaarulislam,com.

You might also like