DARSE JAMIUT TIRMIZI

CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 702,Hadees No :2586,

Hazrat Uqbah Bin Aamir (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Maine Sawal kiya “Najat” kisme hai ? To Rasool e Akram
(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Tumhari Zuban ko Qaabu me Rakho,Apne Ghar ko Kushadah karlo aur apne Gunaho per Roya karo.
(Vol/2,Hadees No :2586),
Dars : Ek Doosri Hadees me ata hai,ke Bandeh ki Zuban Sahi ho to Samjho Sara Badan hi Sahi Salamat rahega aur agar Zuban hi Phisal gayi to Saare Badan ki Khair Nahi,
Zuban Bandeh ki Shaksiyat ki Pahchan hoti hai,Bandah Usko Sahi istemal kare to Wo zikr me shumar hoga aur agar usko Burayi me istemal kare to Sharr me shumar hoga,
■■ Zuban Achi Baato me istemal karna chahiye,Agar kisi maqam pe kuch Na kah sake to Kahmooshi me hi Salamati hoti hai,Har Jagah Bolna Zaroori Nahi hai,Balke Baaz maqamaat pe Khamooshi hi Bolne se ziyadah Behter hai,
●● Ghar ki Kushadgi : Jab Ghar me Ghareebo ko khana khilane aur Unki Madad karne ka Mahol hoga to khud ba khud Ghar kushadah hojayega,Ye Kushadgi Barkat ke etebar se hoti hai,
☆☆ Apne Gunaho pe Jab Bandah Rota hai,to Allah Farishto ko Hukm Deta hai,Ke Mere Bandeh ke Aansoo ko Mahfooz rakho taake uske zariyeh usko Jahannam ki Aag se mahfooz kare..Subhan Allah.
Lehaza Hame Chahiye ke Din me Kam se kam Ek Baar to apne Gunaho ka Muhasabah kare aur usper Roya kare agar Rona Na bhi aye to Rone ki Soorat Bana le.
Allah hame Amal ki taufeeq Naseeb kare..Ameen Ya Rabbi..
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like