DARSE JAMIUT TIRMIZI

CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 703,Hadees No :2587,

Hazrat Abu Saeed Khudri (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram
(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jab Bandah ki Subah hoti hai,to Badan ke Saare Aaza(Parts of Body) Zuban se ilteja karte hai,ke : Aye Zuban Tu Hamare Bare me Allah se Khauff kar,Agar Tu Sahi Rahi to Hum sab sahi Rahenge aur Agar Tu Tedi hojayegi to Hum Sabko us tarah hona padega.
(Vol/2,Hadees No :2587),
Dars : Insaan ke Badan ke Aaza me Zuban ki Badi Ahmiyyat hai,ke Zuban sahi rahe yani Doosro keliye Ache Bol bole to Sab ki Janib se Tareef milti hai,aur agar Zuban se Ache Bol Na nikle to Sabki Kharabi lazim ayegi..!!
●● Zuban ki Hifazat me Bandeh ko Dunya me Izzat aur Manzilat milti hai,aur Akhirat me Jannat se bhi Mala maal kiya jata hai,kyu ke insaan ke Kuch Bol hi doosro keliye pahad jaisi Himmat hote hai,aur usi insaan ke Na Hikmat wale Bol Doosro keliye Ibleesi Kalimaat se kam Nahi hote hai,Balke wo doosre insaan ke Dil aur Himmat ko Tod bhi dete hai,jo ke Sab se bada Gunah ha.
Allah hame Zuban ko sahi istemal karne wala Banaye..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like