DARSE JAMIUT TIRMIZI


CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 707,Hadees No :2593,
Hazrat Abdullah Bin Umer (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha, Rasool e Akram
(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Allah ki Yaad ke Baghair Ziyadah Baate Na karo,Kyu ke Jo Baat Allah ke Zikr ke Baghair hoti hai,Wo Dil ke Sakht Hojanene ka Sabab Banti hai,aur Jinka Dil Sakht hota hai,Wo Allah se Door rahne wale Bando me se hojata hai.
(Vol/2,Hadees No :2593),
Dars : Zuban Allah ke di huvi Azeem Nemat hai,isko Allah ke zikr se hi Hamesha Harkat karna hi Shukranah e Nemat hai,lehaza Jo bhi Baat kare Darmiyan me ya wo Baat hi Allah ke Zikr wali ho,aur Agar Baat bhi kare to Kaam wali Baat kare,Be fuzool baato se sabhi ko Bachna hai,
Jitna Ziyadah Bandah Zikr karega to Uska Dil bhi utna hi Narm hota jayega,aur Narm Dil wala Shaks Allah ki Rahmat ke Bilkul qareeb hota hai,
■■ Dunya ke Be faidah Baato me lag jane ya Doosro ko Hansaneh ki Niyyat se Jhooti Baate kahna,etc.. ye sab Be Fuzool Baato me Shumar hoti hain,jab Bandah in Baato me pad jata hai,to wo Allah aur Logo ki Nazro me gir jata hai,aur Wo Sakht dil wala aur Allah ki Rahmat se door bhi hojata hai..!!
Allah hame Hamesha Tera Zikr karne wala Banaye..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like