DARSE JAMIUT TIRMIZI

CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 708,Hadees No :2595,

Hazrat Umme Habeebah (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha, Rasool e Akram
(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Insaan ki Har Baat uske Khilaf hosakti hai,Magar Neki ki Dawat dena,Burayi se Rokna aur Allah ka Zikr kabhi uske Khilaf nahi hosakte hai,Balke Uske liye madagar hote hain.
(Vol/2,Hadees No :2595),
Dars : Be faidah aur Fuzool baate insaan ke waqt ke saath saath uski izzat me bhi kami kardete hai,aur uski wahi La yani baate kal qiyamat ke din Wabal ban kar saamne aati hain,lehaza Jab bhi koi Baat kare to wazn aur meyari baat kare warna khamoosh hi rahe,
■■ Bahayi ki Dawat dena aur Burayi se Rokna ye Ambiya e kiram(Alihimusslam) ki sunnat hai,aur isko apnane me khud ko aur doosro ko bhi faidah hota hai,agar koi Ek shaks bhi aapki baat maan le to aur burayi se ruk jaye to uske saath aapko bhi Neki karne aur Burayi se Rukne ka sawab zaroor milega insha Allah,
●● Allah ka zikr Bandeh keliye Har Haal me zaroori hai,jitna Bandah Allah keliyr zikr keliyr waqt nikalega to Allah uske waqt me utni hi ziyadah Barkat denge,aur jis cheez ko chod kar bandah Allah ka zikr karega to jaise Maal,etc..to Allah zikr ki Barkat se usko uski sonch se bhi ziyadah ata karega lehaza hame chahiye ke Allah ka zikr hamesha karte rahe.
Allah hame is per Amal ki taufeeq Naseeb farma.Ameen ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like