DARSE JAMIUT TIRMIZI

 

CHAPTER : QIYAMAT KI SIFAAT, DAY : 711,Hadees No :2601,

Hazrat ibne Mas’ood (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha, Rasool e Akram
(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Qiyamat ke Din Allah ke Darbar se Bandeh ke Qadam us waqt tak Nahi hatenge Jab tak ke us se 5 Cheezo ke Bare me Sawal Na kiya jaye :
1) Umr Kaise Guzari ?
2) Jawani Kisme Khatam kardi ?
3) Maal Kise Kamaya ?
4) Maal Kaha Kharch kiya ?
5) Hasil Kiye Huve ilm per Kitna Amal kiya ?.
(Vol/2,Hadees No :2601),
Dars : Ye Saari Cheezo ke Bare me Din me Kam se kam 70 Baar to Sonchne ke Baare me Ulama e kiram kahte hai,ke jab bandah in baato per Ghaur karega to wo qiyamat me kabhi Ruswa aur Zaleel na hoga,
●● Umr aur jawani Waqti marhale hote hain,ye kabhi Hamesha Baaqi rahne wale Nahi hote hai,lehaza Hame unko khaas cheeze jo Khaliq ki ibadat aur makhlooq ki khidmat me lagaye to Deen aur Dunya dono sanwar jayenge..Ham apne aapko hi dekhe doosro ko Nahi kyu ke Aaj kal log Apne hi Baare me ziyadah sonch rahe hai..!!!
Maal aur ilm ko sahi istemal kare to wahi kaafi hai.
Allah hame Amal ki taufeeq Naseeb kare..Ameen Ya Rabbi..
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like