DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : QIYAMAT KI SIFAAT, DAY : 713,Hadees No :2605,*

Hazrat Abu Hurairah (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha, Rasool e Akram
(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Tumhe Chahiye ke Apne Huqooq Ada kardo warna Qiyamat me Har Ek Haq ke Baare me Poocha Jayega,Yaha tak ke Be Seeng wali Bakri ka Haq Seeng Wali Bakri se liya jayega.
(Vol/2,Hadees No :2605),
Dars : Maa,Baap,Bhai,Bahen aur Rishtedaaro ke Huqooq hote hai,unka Apas me Ek doosre per Haq hota hai,jisko Dunya me hi Behter Andaz me ada karlene me hi Sabki Bhalayi hai,
Khaskar Wirasat ke Haq ke Baare me Ziyadah Be insaafi hoti hai,us baare me bhi Sabko Bada dil karke sonchna Chahiye ke Bahno ko bhi Wirasat me Haq dena Zaroori hai,warna Qiyamat me Sawal kiya jayega,
Yaad Rahe Wirasat Awlaad ko hi milne wali hoti hai,phir uske baad unki Awlaad ko agar wo Na Beche,lehaza Bacho ki khatir Apni Aakhirat ko bigadna ye Aqalmandi Nahi hai,Balke Be waqoofi hai..!!
■■ Inke Alawah Padosiyo aur Dosto ke Haq bhi hote hai,lehaza unko bhi ada karna hai,saamne wale ko na dekhe Balke apna Haq ada karne ka Sonchna hai.
Allah hame Haq ada karne wala Banaye..Ameen Ya Rabbi..
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like