DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : QIYAMAT KI SIFAAT, DAY : 714,Hadees No :2606,*

Hazrat Miqdad (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha, Rasool e Akram
(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Qiyamat ke Din Sooraj(Sun) Bando ke Qareeb hojayega,Yaha tak ke Sirf Surmah Daani aur uski Lakdi ke darmiyan jitna faslah hota hai,utna hi faslah Sooraj aur Bando ke Darmiyan hoga,aur farmaya ke Sab paseenah me Doobe huve honge,Baaz ka paseenah Pairo tak hoga to Baaz ka Kandho tak to Baaz ka Sar tak hoga.
(Vol/2,Hadees No :2606),
Dars : Ye Qiyamat ke Havlnaki ka manzar hai,ke yaha koi kisi ka Nahi hoga aur koi kisi ko Rahat Nahi dega bus Bandeh Nek aamal hi uska Saath denge,lehaza Hame Chahiye ke Nek Amal chota hoke Bada bhs usko karne ki koshish karni hai,taake wo Amal qiyamat me Shafa’at ka zariyah banjaye,aur Qiyamat ke garmi se bhi mahfooz kare,aur us din khud per Pachtava bhi Na rahe.
Allah Hame Nek Kaamo me hamesha laga rahne wala Banaye..Ameen Ya Rabbi..
Plz…Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like