DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : QIYAMAT KI SIFAAT, DAY : 715,Hadees No :2609,*

Hazrat Ibne Abbas (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha, Rasool e Akram
(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya :
Qiyamat ke Din Sab log Nange Pair,Khali jism aur Paidayishi Halat me Uthaye jayenge,Phir aapne ye Ayat tilawat farmayi : Humne Unko Jaise paida kiya tha wyse hi lautayenge,ye hamara wadah hai,aur hum apne wadeh ko pura karne wale hain,
Phir farmaya : Makhlooq me Sab se Pahle Hazrat ibrahim(Alihissalam) ko kapde pahnaye jayenge,Phir Meri Ummat me se Baaz ko Seedhi Janib aur Baaz ko Bayi Janib lejaya jayega to mai kahunga ke Aye Mere Rabb meri Ummat per Raham farma,to kaha jayega ke Aapki Ummat aapke zahiri pardah farmane ke Baad Murtad hogayi thi to js waqt mai kahunga ke :
Aye Allah agar to unko Saza de to ye tere Bandeh hain,aur Agar to unko Maaf karde to Tu Khoob ghalib aane wala aur Hikmat wala hai.
(Vol/2,Hadees No :2609),
Dars : Sab Bando ko Qiyamat me is Halat me Jama kiye jane me yahi hikmat batayi gayi hai,ke Bandah Jab paida huva tha to uske Paas kuch bhi Nahi tha aur jab Dunya se jayega to dunya ke koi Cheez uske saath Nahi hogi,yaha tak ke uske kapde bhi Nahi honge..!!
Haan,Bandeh ke Nek Aamal uske Saath Hamesha Rahenge,to dunya me jama kiye jane wali koi cheez hai,to wo Nek Aamal hi hai,uske alawah kuch Nahi..
Allah hame Akhirat ki tayyari karne wala banaye..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like