DARSE JAMIUT TIRMIZI

CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 673,Hadees No :2547,

Hazrat Abu Hurairah (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha, Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Maal dari Saman aur Cheezo ko Ziyadah Hona Nahi hai,Balke Bandeh Ka Dil se Doosri Cheezo se Be Niyaz hona hi Haqeeqi Maal Dari hai.
(Vol/2,Hadees No :2547),
Dars : Aksar yahi Samajhte hai,ke Jiske Paas Maal,Bada Bangla,Gadi etc..ho to wahi Maal dar hai,lekin Hamare Aaqa Sallallahualihowasallam ne ye batlaya ke Jiske Paas Be Niyaz dil ho wahi Haqeeqi Maal dar hai,Jiske Paas Be Niyaz dil ho to wo Qinaat pasand hoga,Hirs aur laluch se door hoga,dunya walo se Nahi balke Dunya Banane wale Khaliq per Kamil Yaqeen wa tawakkul rakhega aur Ahem cheez “DIL KA SUKOON” usko Naseeb hoga,jabke aap dekhe honge ke kayi Maal dar log Neend ki goli khaye baghir unhe Neend hi Nahi aati…?! 
■■ Be Niyazi wo hai,ke Bandah har haal me Allah ka shukr kare aur Allah ke har faisleh per raazi rahe ziyadah cheezo ki hirs se door rahta ho Wo Ba do ka Nahi Balke Allah ka Mohtaj ho to wahi Be Niyaz Bandah hai,
●□ Ye Dunya ki Maal dari hi hai,jo ziyadah ajaye to Bandeh ko Maghroor bana deti hai,jiske sabab wo Rabb aur Bando dono ki nigaho me Na Pasandeedah hojata hai,jabke Be Niyazi Bandeh ko Aajizi wa inkisari se nawaz ti hai,lehaza jab bhi Rab se Maango to Maal Nahi Balke Be Niyaz dil maangiyega.
Allah hame Be Niyaz Dil dil se nawaze..Ameen Ya Rabbi.
Plz..share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like