DARSE JAMIUT TIRMIZI 674

 

CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 674,Hadees No :2548,

Hazrat Khaulah Binte Qais (raziyallahuanha) se rivayat hai,kaha, Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Ye Maal Meetha aur Shadab hota hai,jisko Jitna mile to usme Uskeliye Barkat bhi di jati hai,aur jo apne Haq se ziyadah Waqf ke Maal se bhi Dawlat Hasil kare to Qiyamat me uska Hissah “AAG” hoga.
(Vol/2,Hadees No :2548),
Dars :Allah ki ata ki huvi dawlat per Raazi rahne aur usper Shukr Baja lane se Allah uske Maal me Barkat ata karega,
Aur Maal me Barkat ka matlab wo har qisam ki Museebato se mahfooz rahega aur us Maal se khareedi huvi har cheez Bohat der tak salamat rahegi,aur Awlaad Burayi se Mahfooz rahegi,jo Barkat ka Nateejah hota hai,
■■ Jo Apne Haq wale Maal se ziyadah Ghalat raasteh se Maal kamana chahe to sabse pahla Asar uske Awlaad per hoga Jo Na Farman niklegi aur Sar Dard ban jayegi jis se usko Zaleel hona padega aur jis keliye wo Maal kamya tha wahi usko Zaroorat ke waqt chod kar jayegi aur usko Akhirat me Jahannam me thikana hoga…!!
Allah hame Allah ke ata kiye huve Maal per Hamesha raazi rahne wala Banaye..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site.
www.anwaarulislam,com.

You might also like