DARSE JAMIUT TIRMIZI

CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 676,Hadees No :2551,

Hazrat Abdullah (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha, Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) Haseer per lete huve the,jab Neend se Bedar huve to aapke Rokhsare E Mubarak per uske Nashan pad gaye to humne kaha agar aap hukum farmaye to hum aapkeliye Narm Bister ka intezam kare to Aapne farmaya :
Mera Dunya se koi Ta’alluq nahi hai,aur Dunya me mai bus us Musafir ki tarah jo Raasteh me kuch der tarakht ke Saye me tahre phir Usko chod kar waha se chala jaye.
(Vol/2,Hadees no :2551),
Dars :Subhan Allah Yahi Saadgi hai,ke jis per Saara Aalam fida hai,aur isme har ummati keliye Raaz e Hayat hai,ke Jo Bandah Dunya ko jitna Haqeer samjhega Wo utna hi kamiyab wa Ba izzat rahega aur Jo Dunya ko bada aur sab kuch usi ko samjhega to wo Dunya me tanha aur Be izzat hoga,
●● Dunya Aakhirat ki Mazil tak pahoncne ka Sirf ek Sabab hai,uske alawah kuch Nahi har cheez yahi chod kar jani hai,
■■ Jab Bar koi Apne aapko Dunya me Musafir samjhega to tab har ek ko Apna Haq bhi zaroor milega aur Zulm,Rishwat khori,Sood Khori,Dhoka Bazi etc..insha Allah sab khatam hojayenge,Ahem cheez log badalna hai,jo unhe Deen e islam me se tabdeeli naseeb hogi warna Qanoon badalte rahenge aur Crime bhi badhte rahenge..!!
Allah hame dunya me musafirana zindagi guzarne wala bana..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site…
www.anwaarulislam.com.

You might also like