DARSE JAMIUT TIRMIZI

CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 675,Hadees No :2549,

Hazrat Abu Hurairah (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha, Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Hamesha Dirham aur Deenar kahne wale Shaks per Lanat hai.
(Vol/2,Hadees No :2549),
Dars : Maal zindagi guzarne ki zaroorat hai,uske alawah kuch Nahi hai,ye zindag ka maqsad nahi hai,lehaza jo Haq wa Batil,Halal aur Haram ki tameez kiye baghair Maal hasil karega to wo Maal dunya aur Akhirat me Wabal e Jaan bankar lautega aur usko Jahannam ka mustahaq qarar dene me madadgar sabit hoga,
Haan,jo Halal tareeqo se Maal kamate hai,aur doosro ke Huqooq ka bhi lehaz karte hai,to unke liye Allah ki Rahmat wa Barkat hamesha nazil hoti rahti hai.
Allah hame Halal Maal kamane ki taufeeq naseeb farma..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like