DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : QIYAMAT KE SIFAAT, DAY : 743,Hadees No :2646,*

Hazrat Abdullah bin Mas’ood (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Aye Momino Allah se Haya karne ka jis tarah Haq hai,Us tarah Allah se Haya karo,
To Sahaba e kiram (raziyallahuanhumajmayin) ne kaha :Alhamdulillah Hum sab to Allah se Haya karte hain,to aap ne farmaya : Wo Haya Nahi hai,Balke Haqeeqi haya to ye hai,ke Bandah Apne Zahen aur Zahen me aane wali Buri fikro se uski Hifazat karo,Apne Pet ko Haram Cheezo se Mahfooz rakho,Maut ko aur Maut ke Baad ke Halaat ko Yaad karo,to jo Bandah Akhirat ka iradah rakhta hai,to wo Dunya ki Zeenat ko Chod deta hai,jo is per Amal karega to Wo Allah se Haqeeqi Haya karne wala Samjha jayega.
(Vol/2,H,No :2646),
Dars : Insaan ke jism ka sab se Aala wa Arfa rukn uska Zahen hai,jab Bandeh ka Zahen Buri Baato aur Fikro se Paak hojayega to Samjho uska har Amal Paak aur Sonch Pakeezah hojayegi aur wo Har jhahde aur fasad se mahfoz rakhega aur wo Doosre keliye Rahat ka sabab banega,
●● Halal Rizq ka sab se pahla asar Awlaad per padhta hai,ke wo Walidain ke farma bardar Bante hai,warna Haram Maal to Khud ko doosro ke saamne zaleel karta hai,aur Awlaad ke saamne Be izzat kardeta hai..!!
■■ Haqeeqi haya Bandeh ka Batin Paak hona hai,aur Zahiri Haya Bandeh ka zahir…
Allah hame Haqeeqi haya Naseeb kare..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like