DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : QIYAMAT KE SIFAAT, DAY : 747,Hadees No :2650,*

Hazrat Amr Bin Auff (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha, Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne Hazrat Abu Ubaidah Bin Jarraah(raziyallahuanhu) ko Jangi karwayi me Bheja tha to aap jab Wapas huve to Bahrain se kuch Maal laye to ye Baat Ansaari log sune to wo Fajar ki Namaz me Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) se mulaqat ke liye aaye to aapne unko Dekh kar muskura kar farmaye ke : Jo Cheez tumhe Khushi de to Us se khush hojavo aur uski Umeed karo,lekin Mujhe tum per Tumhari Ghurbat se ziyadah Tumhari Maaldari(Ameeri) per Dar hai,ke kahi tum us Maal me hi Na pad javo jis tarah tum se pahle wale log pad gaye the aur unki tarah Tum bhi Halak Na hojavo.
(Vol/2,Hadees No :2650),
Dars : *To Malum huva ke Ghurbat Maaldaari se ziyadah faidahmand aur Aakhirat ke manazil me kamiyabi ka sabab bhi hai,*
*Lekin afsos aaj hamara moshrah uske Bilkul khilaf hogaya hai,Ghareeb Chota aur Ameer bada samjha jane laga hai,Deen se Ziyadah Jab Dunya ki Ahmiyyat Dilo me ajati hai,to yahi sab kuch hone lagta hai,jo Zillat aur Ruswayi ka sabab ban jata hai,*
*Lehaza Har ek Ka Ek Rutbah hota hai,chahe wo Ameer ho ke Ghareeb kisi ko Haqeer Nahi samjhna chahiye kyu ke Ghareebi aane me der Nahi lagti hai..!!*
Allah hame Aajizi wa inkisari Naseeb kare..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like