DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : QIYAMAT KE SIFAAT, DAY : 748,Hadees No :2651,*

Hazrat Hakeem Bin Hizam (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Maine Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) se Kuch Maanga to Aapne Ata kiya phir isi tarah Maine Teen Martbah Maanga to aapne ata kiya phir farmaya : Ye Maal Meethi Ghaans( Sweet Grass) hai,Jo Isko Doosro ko Dene ki Niyyat se Hasil kare to usme Barkat hoti hai,aur Jo Sirf Apne Nafs keliye hi le to usme Barkat Nahi hoti hai,wo ayse hi aise Bandah Khana khaye aur Uska Pet Na bhare..!!
Phir Farmaya : Dene Wala Haath Lene wale Haath se ziyadah Behter hai.
(Vol/2,Hadees No :2651),
Dars : *Doosro ko dene ka jitna ziyadah jazbah hoga Allah bandeh ki Sonch se bhi Ziyadah usko Rizq ata karta hai,lehaza jab dene ka iradah kare to bus apne se jo bhi ho wo Zaroorat mand kp dede koi doosri sonch na sonche warna Shaitan Neki se rok deta hai.*
Allah hame dene walo me se banaye..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like