DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : QIYAMAT KE SIFAAT, DAY : 750,Hadees No :2653,*

Hazrat Anas Bin Malik (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jis Bandeh ki Niyyat Akhirat Hoti hai,to Allah uske Dil me Be Niyazi Daal deta hai,aur uske Saare Bikhre Kaamo ko Mukammal kardeta hai,aur Dunya uske Saamne Aajizi ke saath Hazir hoti hai,
Aur Jis Bandeh ki Niyyat Dunya hoti hai,to Allah uske Aankho ke Saamne Ghurbat(Faqeeri) ko rakh deta hai,aur uske Har Kaam ko Bikher deta hai,aur uske Muqaddar me Jitna Dunya ka Maal likha hota hai,usko sirf utna Hi Naseeb hota hai.
(Vol/2,Hadees No :2653),
Dars : Akhirat ki Niyyat Yani Har Kaam me khidmat ka Jazbah aur Khaliq wa Makhlooq ke Moamalaat me Sirf Neki ki Niyyat ka Naam hi Ikhlaas hai,ye jisko Naseeb ho wo Khush qismat hai,jo Bandeh ki Badi koshish aur Rabb ke fazal se usko naseeb hota hai,
■■ Ye Khuloose Niyyat Har Ek Shaks aur Har Ek Fann wale me ajaye to Saari Mushkile Aasan aur jhagde khatam hojayenge,ye sirf Ulama ko hi Nahi Balke Her Momin Bandeh keliye zaroori hai,
Doctor ka Khuloos Mareez ke ilaj me,engenier ka Buildings ke Construction me ,Tajir ka Apni Tijarat me etc…ka khuloos ajaye to Kaam aur Maal me Barkat Ajayegi,aur Allah ki Ghaibi Madad bhi Shamil hojayegi.
Allah hame hamare Har Bade aur Chote Kaam me Khuloos e Niyyat Naseeb kare..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like