DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : QIYAMAT KE SIFAAT, DAY : 752,Hadees No :2656,*

Hazrat Ayisha Sidiqah (raziyallahuanha) se rivayat hai,kaha,Hamare ghar ke Darwaze per Naqsho Nigar wala Pardah laga huva tha,jab use Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne dekha to farmaye : Aye Ayisha;is pardeh ko nikal do,kyu ke wo Hame Dunya ki Yaad dilata hai.
(Vol/2,Hadees No :2656),
Dars : Is Hadees e Paak me Nabi e Akram sallallahualihiwasallam apni ummat ko ye dars de rahe hai,ke Zindagi me Har us cheez se door rahe jo hame Dunya ki yaad dilati ho,aur hame Dunyavi masaayil me Uljha kar rakh deti ho,aur Jo Baate aur Kaam Akhirat ki yaad dilati ho to unke qareeb rahe aur unko qareeb karne me Dili Sukoon aur Badani Rahat aur 2 jahan me Najat naseeb hoti hai,
■■ Dunya ki Yaad ? Insaani Zaroorat ko sirf Zaroorat samajh kar puri kare to kaafi hai,warna Har Zaroorat me Brand aur ziyadah qeemat etc..ko ziyadah khayal karte jaye to phir Bandeh ki Har Zaroorat Dunya ko yaad dilate rahegi,aur yahi yaad Marte waqt Nadamat ka sabab banegi..!!
Allah hame Deen wala banaye aur Dunya ki Mohabbat se mahfooz rakhe..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like