DARSE JAMIUT TIRMIZI

CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 678,Hadees No :2553,

Hazrat Anas Bin Malik (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha, Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jab insaan inteqal karjata hai,to uske Saath 3 cheeze Chalti hain,
Ahel(Uske Gharwale)
Maal,
Amal,
Jab usko qabr me dafnaya jata hai,to uske Gharwale aur Maal uska saath chod dete hain,lekin uska Amal uske saath Jata hai.
(Vol/2,Hadees No :2553),
Dars : insaan apne Ahel keliye Kisi bhi raasteh se Maal ko Hasil karne me laga rahe to us se uska Amal bhi kharab hojata hai aur Ahel bhi Na farman hojate hain,aur Agar wo Halal raasto se apne Maal kamaye to us se uska Amal aur Ahel dono Sahi hojate hain,jis se 2 jahan me kamiyab hojata hai,
Bus Jis Raasteh ko Hum ikhtiyar kar rahe hain,us per Nazar rahe to kaafi hai.
Allah hame Sahi Amal ki taufeeq naseeb farma..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like