DARSE JAMIUT TIRMIZI

CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 679,Hadees No :2555,

Hazrat Abu Saeed (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha, Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jo Dunya me Dikhawa karega aur Shoharat Ko pasand karega to Allah usko Qiyamat me uska Badlah denge.
(Vol/2,Hadees No :2555),
Dars : Allah bando ke Aamal aur Soorato ko Nahi dekhta hai,Balke Allah bando ke Dilo aur Niyyato dekhta hai,lehaza ikhlas ke saath jo bhi Nek kaam kare to Uska Dunya aur Akhirat me Allah zaroor ajr ata karega,
■■ Bandeh ko apni Shakhsiyat ke bare me jo wo uske qabil hi Na ho baate banana aur Jhooti tareefe karna etc..ye sab Azab ka mustahaq karti hain,lehaza is dunya me jitna Seedha Saadha rahenge to Akhirat ki manzile bhi itni hi Aasan hoti jayengi,
Allah hame Mukhliseen me shamil farma..Ameen Ya Rabbi..
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like