DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : QIYAMAT KE SIFAAT, 
 DAY : 760,Hadees No :2669,*

Hazrat Sahal Bin Saad (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Hum Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jo Shaks Umdah Libas Pahen ne ki taqat rakhne ke Ba Wajood Allah ki Raza ki khatir Wo Umdah Libas Pahen na Chod de to Qiyamat ke Din Allah usko Saari Makhlooq ke Saamne kahega ke Aye Bandeh to aaj Jannat ka jo Libas Chahe apne ikhtiyar se pahen le.
(Vol/2,Hadees No :2669),
Dars : Allah ki Raza yaani Umdah libas pahen ne se agar Takabbur aane ka Andesha ho to Wo Aajizi wa Tawazu ke husool keliye umdah libas Chod de ya Umdah libas aur Aam Libas me Maal ka ziyadah farq hojaye to wo Aam libas pahen kar umdah libas ka maal Ghareebo ki madad me ya Koi Deeni ya samaji kaam me laga de to is se us Bandeh ko Allah ko Raza Nadeeb hoti hai,
■■ Libas to Bandeh ke zahir per dalat karta hai,jabke Shareeat Bandeh ko apna Badan dhankne keliye Libas ka hukm deti hai,to malum huva ke Libas Badan ko chupane keliye hota hai,Na ke uski Numayish keliye,
Aur Bandeh ke zahir se ziyadah uske Batin ko sanvarne ki shareeat taleem deti hai,jo usko Umdah libas se nahi balke Ache Akhlaaq se hasil hota hai.
Allah hamare Zahir wa Batin ko Pakeezah rakhe..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like