DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : QIYAMAT KE SIFAAT, 
 DAY : 762,Hadees No :2671,*

Hazrat Harisah Bin Muzarrib (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Hum Hazrat Khabbab(raziyallahuanhu) ki iyadat keliye gaye the jo ke 7 Baar Kiva( Badan per Lohe ki cheez se daagh dekar ilaj kiya jata hai) ke zariyeh ilaj karva chuke the,phir bhi unhe koi Ziyadah faidah Nahi huva tha to aapne kaha Agar Mai Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ko ye farmate Na sunta jo apne farmaya : Maut ki Tamannah mat karo.to mai is Halat me zaroor Maut ki Tamannah karta,aur aapne ye bhi farmaya : Bandeh ke Har Sahi Maqam pe Kharch kiye jane wale maal me Ajr diya jayega sivaye Mitti ke yani Imarat Banane me koi Ajr Nahi diya jayega.
(Vol/2,Hadees No :2671),
Dars : Deen e islam bandeh ko kisi bhi Mushkil Halat me Maut ki Tamannah karne aur Khud ko Maar dene(Sucide) ki Kabhi ijazat Nahi deta hai,balke Un Halaat me Sabr karne aur Allah ki faisleh per Raazi rahne ki taleem deta hai,jabke Wahi Amal ka faidah Bandeh ko Baad me Nazar ayega waqti takleef zaroor hogi Lekin Sabr me Dayimi Faidah Chupa huva hota hai,jo Marne ke Baad us per zahir hoga,
■■ KIVA : Qadeem Zamaneh me Ye ek Ilaj huva karta tha jo ke Falij Zadah Shaks etc..keliye kiya jata,jisme hota ye ke Beemar ke Baaz jism ke Aaza per Garam Lohe ki Cheez se Daagh diya jata jis se usko Beemari se Shifa milti hai,isko sharerat me Badan ko ziyadah Noqsan kiye Baghair ilaj ki ijazat di gayi hai,
Haan,Abhi bhi Arab Mulko me iske zariyeh Mareez ka ilaj kiya jata hai,
●● Mitti : Imarat(Buildings) me koi Ajr nahi milne wala hai,jabke Bohat se Log Saari Zindagi isi ko banane aur Sanwarne me khatam kardete hai,jabke unhe pata hota hai,ke unme wo nahi rahne wale hai,iski wazeh Misale Guzre Huve Badshaho ke Mahel hai,jo Aaj Veeran hai…!!!?
Allah hame Sabr,Sehat aur Qina’at ke namato se Malamaal farma..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site…
www.anwaarulislam,com.

You might also like