DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : QIYAMAT KE SIFAAT, 
 DAY : 764,Hadees No :2673,*

Hazrat Abdullah Bin Salam (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Jab Nabi e Akram(sallallahualihiwasallam) Madeenah Shareef Tashreef laye to Saare Log aap se Mulaqat karne keliye aye to maine aapke Chahrae Anwar ko dekha to Sadaqat(Sachai) Jhalak rahi thi,to sab se pahle apne jo farmaya wo ye tha ke : Salam ko Aam karo,Khana Khilavo,Aur Jab Log Soye Huve ho to tab Namaz padho to tum Salamati ke Saath Jannat me Dakhil hojavoge.
(Vol/2,Hadees No :2673),
Dars : Salam Ek Mohabbat ka paigham hai,jo Doosre Momin keliye Dua bhi hai,Aur Dil ke Maraz Boghz wa Keenah se Shifa ka zariyah bhi hai,Adab e salam to yahi hai,ke Chota Bade ko,Sawar Chalne wale ko aur Chalne wala Baithne wale kp etc..salam karna hai,agar wo Pahle Na kare to doosra agar pahel karle to Behter hai,aur pahel karne wale ko ziyadah sawab bhi hai,
☆☆ Salam karna Sunnat hai,lekin Jawab Dena wajib hai,Chahe Zuban se,ya Likh kar ya Dil se bahrehal jo bhi tareeqeh se ho jawab dena hai,
●● Agar Ghair Muslim se mulaqat karna ho kisi silsileh me to usko Assalamualikum(السلام عليكم) kah kar salam nahi karna hai,koi Doosre Alfaaz ex..ADAAB etc kaj sakte hai,
Aur Ghair mahram Aurat ko bhi salam karne se Mana kiya gaya hai,Haan,Ghair Mahram Boodhi Aurato ko Salam karne ki ijazat hai,
■■ Log jab sojaye tab Namaz padhne ka Matlab Namaze Tahajjud aur Doosri Nafil Namaze murad hain,aur Farz namaze to padhna hi hai,unke saath saath ye bhi padhe to Salamati ke Saath jannat me jane ka zariyah honge..
Allah hame Amal ki taufeeq de..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like