DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : QIYAMAT KE SIFAAT, 
 DAY : 763,Hadees No :2672,*

Hazrat Hussain (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Ek Shaks Hazrat Ibne Abbas(raziyallahuanhu) ke paas akar kuch Maangne laga to apne Sawal kiya ke: Kiya tum kalimah padhte ho ? Mohammed (Sallallahualihiwasallam) ke Rasool hone ki Gawahi dete ho ?Ramazan ke Rozeh rakhte ho ?
to usne Kaha : Haan,
Phir apne kaha tumne hum se kuch maanga hai,to hume tumko Kuch to Dena hai,aur tumhare Saath Acha Sulook karna ye kah kar Aapne usko Ek Joda Kapde ata kiye,phir farmaya : Nabi e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jo Musalman kisi Musalman ko Kapde pahna ta hai,to jab tak wo Kapde us shaks ke Paas rahte hain,to Wo Dene wala Allah ke Hifzo Amaan me rahta hai.
(Vol/2,Hadees No :2672),
Dars : Ghareebo me Maal ya Cheezo ki taqseem karna islami Aadab wa Taleemat me se hai jo Sadqah me Shumar hota hai,aur sadqeh ka koi Waqt aur miqdar Muqarrar Nahi hoti hai,jab chahe aur jitna Chahe de sakte hain,
Afzal Baat to ye hai,ke Sadqah kisi Mohtaj Musalman ko diya jaye kyu ke uske Ajr dene ka ta’aalluq Allah ke zaat se wabastah hai,aur Ghair muslim us Aqeedeh se Baher hota hai,
Haan,jaha tak Madad ki baat hai,wo har kisi ki karsakte hai,aur Baaz Islami umoor me bhi ghair Muslim ko dene ki ijazat di gayi hai,
●● Kapda dene se to zahir me Bandeh ki satar poshi bhi hojati hai,to Allah us bandeh ki qiyamat me gunaho se pardah poshi karenge..insha Allah.
Allah hame Amal ki taufeeq Naseeb kare..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like