DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : DIYAAT , DAY : 287,

Hazrat Abu Dardaa(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Maine suna ke :Rasool e Akram

(Sallallahualihwasallam) ne farmaya : Jab Kisi ke Jism me koi Museebat aati hai,agar wo uske sabab Sadqah de to us se Uska 1 Darjah Buland kiya jata hai,aur 1 Gunah Maaf kiya jata hai.
(Vol/1,H,No :1453),
Dars :Ye insaan ka Jism hi to hai,jo Ibadat me Ahem kaam Anjaam deta hai,jab ye Ibadat se khali hoga to Jismani Museebate
(Beemariya,etc..) aane lagti hain,lehaza is badan ko Hamesha Allah ki Ibadat me Masroof rakhna hai,
■■ Baaz Nek Logo ko Bhi Beemari Aati hai ?
Jawab :Ye Allah ki taraf se Aazmayish hoti hai,take unko Azmakar Sabr e Jameel ka Badlah dunya me hi ata kare,
●● Hadees e paak se Malum huva ke : Jism me koi Pareshani aajaye to Sadqah dene se wo Beemari Insha Allah door hogi,
☆☆ Bandeh ko Chahiye ke *SEHAT KI HALAT ME ALLAH KA SHUKR AUR BEEMARI KI HALAT ME SABR KARNA HAI*
Tab to *SHUKR KARNE WALA BHI JANNATI AUR SABR KARNE WALA BHI JANNATI HOGA*
Allah hame har haal me Tujhe Yaad karne wala banayiye..Ameen.

Plz..Share it to All,For more Visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like