DARSE JAMIUT TIRMIZI *** CHAPTER : WAQF , DAY : 285,

 

Hazrat Anas Bin Malik(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram
(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya: Jab Koi Musalman Koi Paudah(plant) ya Darakht(Tree) lagaye aur us se Koi Insaan,Parindah ya Janwar Khale to Lagane wale ko “SADQAH” ka Sawab diya jata hai.
(Vol/1,H,No :1441),
Dars :Ye Darakht aur Paudeh lagane ki Taleem 1400 saal pahle se hi Islam ne di hai,jis se Mahol me Taazgi,Nashath,aur jo Sehat ke Asbaab me se hain,Darakhto ke lagane se Dunya aur Akhirat 2 jahan ka faidah hota hai,
Aaj Har Mulk ki Hukoomate is Kaam ko tarjeeh dene me aage aage rahti hain,Jabke Ye Deen e islam ki hi taleemaat me se hai,
■■ Baaz darakhto ke Phal aur Baaz ke Patte istemal kiye jate hain,to jo Darakht Tijarat keliye Lagaye gaye ho,aur uske lagane me Dawlat aur Mehnat bhi lagi ho aur lagti bhi hai,to inke doosro ko istemal karne se ronke ki ijazat hai,kyu ke isko lagane me 2 cheeze bhi lagi hain,aur ye tijarat keliye hai.

Plz..share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like