DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : HAJJ, DAY :173,

Hazrat Ali Bin AbuTalib(raziyalkahuanhu) se rivayat hai,kaha, Jab Hajj ki Ayat Nazil huvi to Sahaba(raziyalkahuanhumajmayeen) ne Nabi e Akram (sallallahualihiwasallam) se Sawal kiya :Ya Rasoolallah Kiya Hajj Har Saal Farz hai ?
To Aap Khamoosh Rahe,phir Unhone Dobarah Sawal kiya To Aap ne jawab diya ke : Agar Mai “HAAN” Kah Doon to Ye Hajj Har Saal Tum Per Farz Hojayega…!!
(Vol/1,H,No : 819),
Dars : Is Hadees e paak se Malum huva ke Hajj zindagi me Sirf 1 Hi Baar Farz hai,aur wo bhi un per Jo Hajj karne ki Qudrat rakhte ho,warna Hajj farz Nahi hota,
☆☆ Aur Is me ye bhi Malum huva ke Allah ne Apne Habeeb(sallallahualihiwasallam) ko Be Shumar ikhtiyaaraat bhi ata kiye hai,ke aap ke zuban e Aqdas se jo Alfaz nikalte hai,to Allah us per Hukm Jari farmadeta hai,
Ye Aapka Tasarruf wa ikhtiyar hai.

You might also like