DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : HAJJ, DAY :172,

Hazrat Ali (karramallahuwajhahu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram(sallallahualihwasallam) ne farmaya :Jis ke paas itna Tosha aur Sawari Ho jo Kabatullah Tak usko Pahonchati ho,lekin Phir bhi wo Hajj Na kiya to mujhe Us ke Bare me kuch parwa Nahi ke Wo ya to Nasrani hokar mare ya Yahoodi bankar mare..kyu ke Allah ne farmaya : Jo log Kabatullah tak Jaane ki Qudrat Rakhte ho to un per Allah keliye Hajj karna Farz hojata hai.
(vol/1,H,No;817)m
Dars : Momino jab Rahmat wale Rasool (sallallahualihwasallam) ne Hajj ki taqat rakhne ke ba wajood na jane walo se itni Narazgi ka izhar farmaya hai,to Dawlat mando ko chahiye ke Wo samajh le ke WO Allah ki Narazgi ke saath saath Rasoolullah ki Narazgi ke bhi mustahaq hojate hai,
** Nasrani aur Yahoodiyo ka zikr…..?
wo isliye unka zikr kiya gaya hai,ke unhone Dunya ki Khatir apne Deen ko Bech diya hai,agar koi shaks Apne dawlat ke bachat keliye Hajj Nahi kar raha hai,to wo bhi to apne deen ke ahkamaat ko dunya ki mamooli si dawlat ki khatir chod raha hai. !!!!!!!!
Allah hame Sahi UMER me Hajj Naseeb farma..Ameen.

You might also like