DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : HAJJ , DAY :190

Hazrat Anas Bin Malik(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha ,Jab Nabi E Akra
(Sallallahualihiwasallam) ne Ramee Jimaar(Shaitan ko Kankari marna) farmaye to,Qurbani ada kiye,Phir Halaq Karne keliye Baal Mondne wale ko Bulaye phir Uske Saamne apne Sar(Head) ki Seedhi janib rakhi to usne Baal Mond diye,To aap ne wo Baal Hazrat Abu Talha(raziyallahuanhu) ko diye ,phir Sar ki Bayi janib(left side) Ke baal Nikale to usko bhi Unhe dekar farmaya ke “IN BAALO KO LOGO ME TAQSEEM KARDO”.
(Vol/1,H,No :922),
Dars : Isme Hajj ke Arkaan ki Tarteeb batayi gayi hai,
■■ Hadees se sabit huva ke Sar ke Baal jab Mundwaye to pahle Seedhi Janib Se aaghaz kare,Phir Bayi Janib,
●● Aap ke Mooye Mubarak ka Suboot bhi Is Hadees e Paak se sabit hai,to Jo mooye Mubarak(Hairs of Prophet sallallahualihiwasallam) aaj Dunya me Hai,wo wahi Taqseem se hi hai,ab ye Aqeedat ki Baat hai,lehaza Inkar ke bajaye Tazeem karne me hi Bhalayi hai,kyu ke Taqseem sabit hai,aur Yahi Daleel hai,
Yaad rahe ke Har kisi ke Baalo ko Dekhte hi Itni Tazeem ayse hi Nahi aajati hai,Balke Wo to 2 Jahano ke Sardar ke Baal hai,isliye Adab wa Ehteram,Mohabbat wa Aqeedat khud Ba khud aajati hai,kahne ki Zaroorat Nahi padhti hai,aur Nahi Daleel ki…
Iqrar se Aqeedat me izafah hota hai,aur Inkaar se Apasi Nafrat me izafah….ab Raha islam wo To Aqeedat,Apasi Mohabbat ki Taleem deta hai…!!
*BA ADAB BA NASEEB*
BE ADAB BE(BUD) NASEEB*

You might also like