DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : HAJJ, DAY :191,

Hazrat Ali(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne Khawateen(Ladies) ko Apne Sar ke Baal Mundwane(Cutting) se Mana Farmaya.
(Vol/1,H,No:925),
Dars : Ye Mazhab e Islam hi hai,jo Awurato ke liye Hifazat Wa Nazafat, Husn wa Zeenat ke Peshe Nazar Uske Sar ke Baal(Hairs of Head) ko Hajj wa Umrah jaisi Azeem Ibadat ke Baad bhi Mundwane se Roka hai,
●● Kahwateen,Halaq Na karaye Balke Sar ke Aksar Baalo ko Pakad kar ek Ungli ke Puro ke Barabar yani Ek Inch ke barabar Baal Cut kare to Kaafi hai.
■■ Beemari ki Soorat me Ladies ko Halaq karane ki ijzat hai.
☆☆ Aurato ko bhi Chahiye ke Zeenat ka istemal Shareeat ke Daireh me Kare to ziyadah Behter hai,

You might also like