DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : HAJJ , DAY :192,

Hazrar Jabir Bin Abdullah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram
(Sallallahualihuwasallam) ki Bargah me Ek Khatun apne Bache ko lekar aake Arz karne lagi,Ya Rasoolallah(sallallahualihiwasallam) Kiya mai is Bache ko Hajj per Le Jasakti hoon ?
To aapne Farmaya : Haan,Is Bache ko Hajj per Lejasakti ho,aur Is per Tumhe Ajr(sawab) bhi milega.
(Vol/1,H,No :936),
Dars : is Hadees e Paak me Na Baligh(Minor) Bacho ke Hajj ke Bare me Bataya gaya hai,ke
Agar wo Na Balighi ki Halat me Hajj ya Umrah ada kare to us se Unke Walidain ko Aamal e Saliha ka Sawab Milega,
Lekin in Bacho(He/She) se Fareezah e Hajj Saqit Nahi hoga,
Yani Ye Bache Baligh hone ke Baad Hajj ki Qudrat hone per Hajj ya Umrah Phir se Ada karna Hoga,Kyu ke wo Ab Mukallaf huve hain,Bachpan me Wo In Aamal ke Mukallaf Nahi the,aur Un per Hajj Farz hi Nahi huva tha..
Allah sabko Hajj ki Qurdat wa Isteta’at Naseeb farmaye..Ameen.

You might also like