DARSE JAMIUT TIRMIZI , CHAPTER : HAJJ, DAY :194,

Hazrat Umme Ma’qil (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha:
Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Ramazan ke Ek Umrah Ek Hajj karne ke Barabar Hota hai.
(Vol/H,No :951),
Dars : to Ye Barkat hai,Ramazan ke Mahineh ki ke jiski wajah se EK Umrah ek Hajj ke barabar hota hai,
Ye kyu ?
Kyu ke Ramazan ko Nisbat hai,Quran se ,ke Ramazan me Quran Nazil huva hai,isliye islam me Nisbat ko Badi Ahmiyyat di gayi hai,
Lehaza ,Abmiya,Sahaba,Ulama wa Awliya se Nisbat me Barkat hoti hai,
Hame in Sab se Nisbat rakh kar unki Taleemat per Amal bhi Katna Chahiye..
Allah hame Nek Taufeeq ata kare..Ameen

You might also like