DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : HUDOOD, DAY : 287,

Hazrat Ali(karramallahuwajhahu) se rivayat hai,

Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : 3 Logo se Qalam uth chuka hai,
1,Sone(Sleeping Person) wala Jab tak Neend se bedar hojaye,
2,Chota Bacha Jabke wo Jawan hojaye,
3,Zahni Beemar(Pagal Shaks) jabke wo Zahni Taur per Theek hojaye.
(Vol/1,H,No :1488),

Dars : Qalam Uth jane ka Matlab : Agar ye Teen logo me se koi Jurm kare ya inse Jurm Sarzad hojaye to Usi waqt inko Islam me jo sazaye batayi gayi hain,Wo sazaye Nahi dijayengi,
■■ Sone Wala Shaks : Jab koi Shaks sota hai,to uske Aqal per pardah padh jata hai,lehaza us waqt saza Nahi dena hai,kyu ke Saza Bedari ki halat me dene ka hukm hai,kyu Jurm bhi to Bedari me hi kiya tha….
●● Na Baligh (Minor) : Chote bacho ko bhi Bachpan me Saza nahi dena hai,kyu ke wo Ghair Mukallaf hota hai,haan,Jab Baligh(Major) hojaye to us waqt saza dene ka hukm hai,
☆☆ Pagal Shaks : Ye bhi shaks Zahni beemari me mubtala hai,lehaza Sahi hone ke baad saza dene ka hukm hai,warna Nahi…

Plz..Share it to All,For more visit our web site..
anwaarulislam,com.

You might also like