DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : Said(SHIKAR), DAY : 288,

Hazrat Abu S’alabah Khushani(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Maine Rasool e Akram

(Sallallahualihiwasallam) se sawal kiya ke Hum Shikar Karne Wale log hai,to Hamare liye kiya Ahkamaat hain ? To aapne farmaya : Jab Tum Apna Shikari Kutta (Kalbe Moallam) Shikar keliye chodo aur Bismillahi Wallahu Akbar padho,Phir Jab wo Janwar Shikar karke laye to Us Janwar ko khalo,
To maine phir sawal kiya ke : Agar wo Shikar kiya huva Janwar Marjaye to kiya usko Khasakte hain ? To aapne Farmaya:Shikari Kutte Ka Shikar kiya huva Janwar Mar bhi jaye to usko Khasakte hain..
(Vol/1,H,No :1536),
Dars :Shikari Kutta : Ye Wo Kutta hota hai,jisko Shikar karne ki khaas taleem di jati hai,ke wo Janwar ko kis tarah shikar kare aur kin Daanto(Teeth) se us janwar ko pakde,jab wo kutta in sasri Baato ko seekh leta hai,to phir uske Imtehan me ye bhi hota hai,ke 3 Baar us kutte ko Aaazmaya jata hai ke Shikari kiye huve janwar ko shikar karke late waqt wo kutta khud bhi us janwar ka koi bhi Hissah Nahi khata hai,to Ab us kutte ko *KALB E MOALLAM* kaha jata hai,
●● Kalbe Moallam ko shikar keliye Bhejne se Pahle Bismillahi Wallahu Akbar Kahna zaroori hai,Warna Shikar kiya huva Mara janwar Halal Nahi hoga,
■■ Agar Shikar kiya Huva Janwar Zakhmo me Zindah ho to usko Zubah karna hai,kyu ke wo Zindah hai,aur Qabzeh me bhi hai,
iske kayi masaayil hain,Insha Allah aage Bayan kiye jayenge…

Plz…Share it to All,For more islamic services visit our web site..anwaarulislam,com.

You might also like