DARSE JAMIUT TIRMIZI -CHAPTER : ILM – DAYS: 904-HADEES NO :2858

Hazrat Sayyiduna Abu Hurairah Raziallahuanhu se Rivayat hai, kaha: RASOOLULLAH ﷺ ne farmaya: joi Shaks Ek Ayse Raasteh per Chale jisme Wo ILM talab kar raha ho to Allah uskeliye Jannat ka Raastah Aasan kardete hai.

(Jamiut Tirmizi,Vol/2,Hadees No:2858),

Dars : JO Ilme Deen ko Hasil karne me laga rahe aur uski Khalis Niyyat Deen ki khidmat karni ho to Allah uske liye Dunya me hi Ayse Asbaab wa Raasteh Bana dete hai,aur wo unme Mashghool hojata hai,to unke zariye Wo Jannat ka Raastah apna leker Jannat me chala jata hai,to Ilmi Raasto ko Kam darjeh wale Na samjho,aur Na hi Baaz Dunya walo ki Zillat wa haqarat Bhari Baato pe Tawajjuh Na do to Manzil tak Aasani se Pahonch jayenge,

□□ Moshrah (society) ke Muslim logo ko Chahiye ke wo Apne Ladko aur ladkiyo ko Dunya ki Taleem ke saath saath Deeni Taleem bhi dilane me Badi koshish wa mehnat karni zaroori hai,taake unki Dunya wa Deen dono sanwar sake.

Allah hame ILM hasil karne wala Bana aur Jahalat se Mahfooz farma..Ameen.

For more information please visit our website www.anwaarulislam.com.

 

?WRITTEN BY:-

MUFTI RAHMATULLAH QADRI

(FOUNDER OF MADARSAH ANWAARULISLAM LIL BANAT, TAYYAB NAGAR, MAHBUBNAGAR, TELANGANA).

 

You might also like