DARSE JAMIUT TIRMIZI** CHAPTER : ILM DAYS: 905-HADEES NO :2859,

Hazrat Sayyiduna Anas Bin Malik Raziallahuanhu se Rivayat hai,kaha: RASOOLULLAH ﷺ ne farmaya: JO Bandah ILM hasil karne keliye ghar se nikla ho to Wo us waqt Tak Allah ke Raasteh me hoga jab tak wo Ghar laut Na jaye.

(Jamiut Tirmizi,Vol/2,Hadees No :2859),

Dars : Dunya me Bohat se Kamiyabi ke Raasteh hain,lekin un me Sab se Afzal Raastah ILM hasil karne keliye apne ghar se nikalne wala Raastah hai,kyu ke Jab wo us Niyyat se ghar se nikalta hai,to wo Allah ke Raasteh me yani wo Allah ke Amaan me ajata hai,Phir usko koi Dunya ki Mushkil ya Gham pareshan Nahi karsakta hai,

●● ILM hasil karne keliye Safar karna Ambiya e Kiram, aur Tamam Aslaaf ka tareeqah wa Sunnat hai,kyu ke Jab wo ILM ki khatir safar me hota hai,to Allah ki khaas Rahmat us per hoti hai,aur wo Sukoon wa itminaan me hota hai,isliye Aap khud bhi aur Apni Awlaad ko Deeni taleem se Aarastah karaye to Sab keliye Behter hoga.

Allah hame ILM hasil karne wala Banaye..Ameen.

For more information please visit our website www.anwaarulislam.com.

 

?WRITTEN BY:-

MUFTI RAHMATULLAH QADRI

(FOUNDER OF MADARSAH ANWAARULISLAM LIL BANAT,TAYYAB NAGAR, MAHBUBNAGAR, TELANGANA).

You might also like