DARSE JAMIUT TIRMIZI CHAPTER : ILM DAYS: 906 HADEES NO :2860,

Hazrat Sayyiduna Sakhbarah Raziallahuanhu se Rivayat hai,kaha: RASOOLULLAH ﷺ ne farmaya: JO Shaks ILM hasil karta hai,to Allah uske Pichle (past) Saare gunah Maaf kardeta hai.

(Jamiut Tirmizi,Vol/2,Hadees No :2560),

Dars : Deen e islam Ek Wahid aysa Mazhab hai,to Apne Maan ne walo ko ilm shuru se hi ILM hasil karne ki taleem deta hai,Jab ke Qurani Pahli ayat bhi اقرأ  App padhiye se Shuru hoti hai,to Jo ILM Hasil karta hai,to uske Batini Khamiya aur Zahiri Kamzoriya Door hojati hai,Phir Allah usko 2 jahan me Bada Darjah ata karta hai,

☆☆ Alhamdulillah ILM hasil karne wale ko to ILM Hasil ho hi raha hai,uske Saath Saath Allah uske Pichle Saare Gunah maaf kardeta hai,ye fazeelat hai,ILM E Deen ki ke jiska Allah ke Paas Bada Darjah wa Maqam hai,lekin Afsos ….Baaz Muslims me bhi iski Ahmiyyat utni ziyadah Nahi hai,jitni honi hai,ye unke Eiman ki Kamzori aur Deen se Bezaari ka Nateejah hai,Allah unko Hidayat de..Ameen YA Rabbi..

Allah hame Marte Dum tak ILM hasil karne wala Bana..Ameen.

For more information please visit our website www.anwaarulislam.com

 

?WRITTEN BY:-

MUFTI RAHMATULLAH QADRI

(FOUNDER OF MADARSAH ANWAARULISLAM LIL BANAT, TAYYAB NAGAR, MAHBUBNAGAR,TELANGANA).

You might also like