DARSE JAMIUT TIRMIZI** CHAPTER : ILM DAYS: 909/ HADEES NO :2863,

Hazrat Sayyiduna Abu Saeed khudri Raziallahuanhu se Rivayat hai, kaha: RASOOLULLAH ﷺ ne farmaya: Log Tumhare Paas Mashriq(East) se ILM seekhne ayenge to tum unko Bhalayi ki Wasiyyat karna.

(Jamiut Tirmizi, Vol/2,Hadees No :2863),

Dars : Yahi Hadees e shareef Doosre Raavi se kal guzri thi,to uske mafhoom me se ye hai,ke : JAB koi Kisi ke Paas ILM seekhne keliye MAshriq yani kaafi doosr se aye to unko Bhalayi ki taleem dena hai,unke zahen se khelna nahi hai,Aur apne Khayalaat ke mutable unko Nahi dhaalna hai,balke Quran wa Hadees aur Sahaba wa Awliya ke Raasto per Chalana hai,tab ye Teacher aur Students Dono kamiyab honge,

☆☆ Jab Apne Bacho ko Deeni School me daal rahe ho to pahle us school walo ke Aqaayid ko dekhe aur Taleemi Nizam ko dekhe,Chahro ko Na dekhe Balke Ache WA Sache Kaam ko Dekh kar apne Bacho ko Dakhilah dilaye,Jab Aapke Bache Ahle Sunnat Wal Jamaat ke Raasteh per rahenge to Tab wo khair ke Raasteh per honge aur walidain keliye bhi Ankho ki Thandak aur Akhirat me Najat ka zariyah Banenge.

Allah hame Sahi Aqaayid(Ahle Sunnat Wal Jamaat) per zindagi guzarne ki taufeeq ata farma..

For more information please visit our website www.anwaarulislam.com.

 

?WRITTEN BY:-

MUFTI RAHMATULLAH QADRI

(FOUNDER OF MADARSAH ANWAARULISLAM LIL BANAT, TAYYAB NAGAR, MAHBUBNAGAR, TELANGANA).

 

You might also like