DARSE JAMIUT TIRMIZI** CHAPTER : ILM DAYS: 910/ HADEES NO :2864,

Hazrat Sayyiduna Abdullah Bin Umr Bin Aas Raziallahuanhu se Rivayat hai, kaha, Rasoolullah ﷺ ne farmaya: Allah Taala Logo se ILM ko khatam Nahi karta hai,Balke Allah Ulama ko Qabz(Wafat) karne ke Zariyeh ILM ko utha leta hai,Yaha tak ke Koi Aalim Dunya me Baaqi Nahi rahega to Log Jahilo ko Apna Sardar Bana lenge,Jab unse Fatwa Poocha jayega to wo Baghir ILM ke Fatwa denge,to Khud bhi Gumrah honge aur Doosro ko bhi Gumrah kardenge.

(Jamiut Tirmizi, Vol/2,Hadees No: 2864),

Dars : Aaj kal ke Daur me dekhenge to Har Qisam ki kitab Net ya website pe Aasani se Dastiyab hau,aur Future me aur bhi Bohat kitabe hongi,aur ILM ko Hasil karne ke asbaab honge Yaad rahe ke kitabe to hongi lekin Padhne wale Nahi honge,kyu ke is dunya se Ek Ek karke Saare Ulama wisal kar jayenge phir ILM ka Chamanistaan weeran hojayega koi Ummat ko Raah dikh Lane wala Na hoga jahil log Bade Bade mansab per faiz honge aur Apni Jahalat se fatwe dekar Sabko gumrah kardenge..Allahu Akber Kabeera..!!

●● Logo Ulama e kiram ko Ghaneemat jaano unse ILM Hasil karne ki puri koshish kare aur apne ghar walo ko Ulama e kiram ke saat wabastah karvaye to Deen ke saath saath Dunya bhi sanwaregi aur akhirat bhi.

Allah hame Ulama e kiram ki qadr karne wala banaye..Ameen.

For more information please visit our website www.anwaarulislam.com.

 

?WRITTEN BY:-

MUFTI RAHMATULLAH QADRI

(FOUNDER OF MADARSAH ANWAARULISLAM LIL BANAT, TAYYAB NAGAR, MAHBUBNAGAR, TELANGANA).

You might also like