DARSE JAMIUT TIRMIZI- CHAPTER : ILM DAYS: 914/ HADEES NO :2868,

Hazrat Sayyiduna Zaid Bin Sabit Raziallahuanhu se Rivayat hai, kaha: RASOOLULLAH ﷺ ne farmaya: Allah Us Shaks ko Taro Taza Rakhe Jo Hum se Hadees ko Suna,usko Yaad kiya aur Us Hadees Ko Doosro tak Pahonchaya,Aur Bohat se ILM ko Pahonchane walo se Ziyadah Sun ne wale Faqeeh(zaheen) hote hai,Aur Bohat se Pahonchane wale Faqeeh Nahi hote.

(Jamiut Tirmizi,Vol/2,Hadees No: 2868),

Dars : Mubarak ho un Sab Hazraat ko Jo ILM E Hadees ke Kaam me lage hai,Jo Hadees Sunte ya Padhte ho,Aur usko Zahen Nasheen karlete ho,aur Us Hadees ko Doosro tak Pahonchate ho to Ayse Logo ke Saath Rasoolullah sallallahualihiwasallam ki Khaas Dua hoti hai,in per Allah ki Rahmat Barasti hai,aur Unki Qabar bhi Taro Taza rahti hai,aur wo Qabar ki Haulnaaki wa Azab se Mahfoo rahte hain,Dunya ki Har Mushkil se Alkah unko Mahfoo rakhta hai,to Hame Chahiye ke Logo ki Baato pe Zahen Na lagaye Balke Hadees padhte aur Doosro tak Hadees ko Pahonchate rahe to ye Ek Badi Khudmat hai,Jo Allah Mahboob Bando se hi uska Kaam leta hai,

●○ Bohat se Hadees pahonchane Wale jisko Hadees Pahonchayi jarahi hai,us se Faqeeh yani wo unse ziyadah Hadees ki Bareekiuo ko Samajh Nahi sakte jisko ke doosre samajh sakte hain,to iska ye matlab hai,ke Aap Hadees ko Doosro tak Pahonchane me kash ma kash me Na rahe usko Doosro tak pahoncha de kyu ke ho sakta hai,wo shaks tum se ziyadah us Hadees ko Samajh sakta ho aur us se Allah Deeni Kaam bhi lele,lehaza Hadees ko Aam karne me Hame peeche Nahi Hatna hai,Kaam karte jana hai.

Allah hame Hadees e Paak per Kaam wa khidmat karne ki taufeeq ata farma..Ameen.

For more information please visit our website www.anwaarulislam.com.

 

 

?WRITTEN BY:-

MUFTI RAHMATULLAH QADRI

(FOUNDER OF MADARSAH ANWAARULISLAM LIL BANAT, TAYYAB NAGAR, MAHBUBNAGAR, TELANGANA).

You might also like