DARSE JAMIUT TIRMIZI** CHAPTER : ILM DAYS: 915/ HADEES NO :2869,

Hazrat Sayyiduna Abdullah Ibne Mas’ood Raziallahuanhu se Rivayat hai, kaha: RASOOLULLAH ﷺ ne farmaya, Allah us Babdeh ko Taro Taaza Rakhe Jo Hum se Hadees sune aur Usko Jaise suna ho wyse hi Doosro tak Pahonchaye,

Basa Awqaat Sun ne wale se ziyadah jisko Hadees Pahonchaye ja rahi ho Wo Ziyadah Zaheen hota hi.

(Jamiut Tirmizi, Vol/2,Hadees No: 2869),

Dars : Allah Be shumar Rahmate Nazil kare un Mohaddiseen HAZRAT per Jo Apni Saari Zindagi ILM E Hadees Ki khidmaat me sarf kardiye hain,Jinme Siha Sittah ke Sahib e kutub Mohaddiseen e kiram, Jaise Bukhari Shareef,Muslim Shareef, Sunane Nusayi,Sunane Abu Dawood,Jamiut Tirmizi  aur Sunane Ibne Maajah aur inke alawah bhi Bohat se Masanid wa Kutube Hadees hai,jinki badaulat aaj hame Hadees aur ILM E Hadees mila hai,

●○ Har Baat pe Jo Apne Maslak ke khilaf ho to us Hadees ko Zayeef ya Kamzor Nahi kahna hai,kyu ke ye Eiman wa insaaf ke khilaf hai,jis se Maslak to door ki Baat hai,Mazhab me bhi kharabi aasakti hai..!!

■□ Jo Hadees ki Baate aur Sharah Samajh me Na aye to wo usko Ulama se Raabtah kare aur Apna Maslah hal karle,ye ilmi Aadab me se hai.

Allah Hame Hadees e Paak ka Adab wa Ehteram karne wala Banaye..Ameen YA Rabbi.

For more information please visit our website www.anwaarulislam.com.

 

?WRITTEN BY:-

MUFTI RAHMATULLAH QADRI

(FOUNDER OF MADARSAH ANWAARULISLAM LIL BANAT, TAYYAB NAGAR, MAHBUBNAGAR, TELANGANA),

CONTACT NO: 96403 44146 +79890 94406.

 

You might also like