DARSE JAMIUT TIRMIZI – CHAPTER : ILM DAYS: 916/ HADEES NO :2870,

Hazrat Sayyiduna Abdullah Bin Mas’ood Raziallahuanhu se Rivayat hai, kaha: RASOOLULLAH ﷺ ne farmaya: Allah Us Bandeh ko Taro taza rakhe,Jo Meri Hadees suna,Usko Mahfooz karke usko Yaad kiya,aur usko Doosro tak pahonchaya,Basa awqaat Pahonchane wale se ziyadah jisko Hadees Pahonchayi jarahi hai wo ziyadah Zaheen hota hai,

3 Ayse Baate hai,jinme Dhoka Nahi hosakta,

1) Musalman wo KA Sacha Dil Jo Allah keliye iskhlas ke saath Amal karta ho,

2) Musalmano ke Imam(Hakim,Ameer,etc Bade log) ke saath Bhalayi karna,

3) Unki Jamaato ko Lazim karlena,

Kyu ke Dua unki Hifazat karti hai.

(Jamiut Tirmizi, Vol/2,Hadees No:2870),

Dars : Hadees e Paak me ILM E hadees ki hifazat aur uski khidmaat karne ki tareef taleem di gayi hai,

● Momin Bandeh ka Dil Deeni Kaam me jitna Mukhlis hota hai,Allah uske Kaam me Barkat ata karta hai,Bohat Khush Qismat hain,wo log Jinko Allah ne apne Deen ki khidmat keliye chun liya ho,

Note : Baaz ulama e Kiram Apne Kaam ka izhar Bataure Nemat ke shukrane me kare to wo Dikahava ya Shohrat Nahi kahenge balke wo Awaam ka unke saath  dene ko shukrane ke taur per Izhar kar rahe hote hain,Ya koi Aalim ya Mufti Apne Mazmoon ke saath apna Naam likh raha ho to wo dikhawa nahi balke us mazmoon ki zimmehdari apne Naam le raha hai,taake koi khata ya ghalati hojaye to log unse ruju karke masleh ka hal kare,

■■ Musalmano ke Buzrugo Ke saath khair khahi karne aur unka Saath ko lazim karlene me Sab ki bahalayi wa Aman wa salamati hoti hai,Aur isi me ittehad wa ittefaq hota hai.

Allah hame Amal ki taufeeq ata kare..Ameen.

For more information please visit our website www.anwaarulislam.com.

 

 

?WRITTEN BY:-

MUFTI RAHMATULLAH QADRI

(FOUNDER OF MADARSAH ANWAARULISLAM LIL BANAT, TAYYAB NAGAR, MAHBUBNAGAR, TELANGANA).

You might also like