DARSE JAMIUT TIRMIZI – CHAPTER : ILM DAYS: 917/ HADEES NO :2871

Hazrat Sayyiduna Abdullah Ibne Mas’ood Raziallahuanhu se Rivayat hai, kaha:RASOOLULLAH ﷺ ne farmaya: JO koi Mujh per Jaan Boojh kar Jhoot bole to Usko Chahiye ke Apna Thikanah Jahannam me Talash karle.

(Jamiut Tirmizi, Vol/2,Hadees No:2871),

Dars : Hadees e Paak Sallallahualihiwasallam jaisi ho usko Usi tarah Bayan karna “HAQ” per Dalalat karta hai,aur Agar Hadees ko Apni Khahishaat ke Mutabiq Jo ke Wo Hadees me Nahi phir bhi Bayan karna ye Kahne wale ya Bayan karne wale per ” JHOOT” per Dalalat karta hai,to ayse hi Jhooto per RASOOLULLAH sallallahualihiwasallam ki Lanat Barasti hai,aur uska Thikanah Jahannam hai,

To Eiman me se ye hai,ke Jo Sahi Hadees ho usko Usi tarah Bayan kare usme kisi qisam ki Kami ya Ziyadati Na kare,

●○ Bohat se Shia Log apni Kitabo me Ghair Sahi Ahadees ko Naqal kiue hai,Jo ke Sahi Nahi hai,jis se khud bhi Gumrah hote hain,aur Doosro ko bhi Gumrah karte hain,inki Kitabe Padhne se Bachna Chahiye,

■■ Aaj kal Social Media per 30 seconds ki Clips hote hai,jisme Kaha jata hai,ke Hadees me ye aya hai,is hadees ko share kare Murad puri hogi,apka Kaam hojayega,etc..to inme Aksar Baate Sahi Hadees se Sabit hoti hain,lehaza aysi Baato ko doosro tak share karne ya Farward karne se Bache warna Jhoot ko Aam karne ya usme madad karne walo me shumra honge jis se Allah air Rasoolullah sallallahualihiwasallam ki lanat ke mustahaq honge.

Allah hame Hadees e Paak ki sahi Khidmaat karne walo me shumar kare..Ameen.

For more information please visit our website www.anwaarulislam.com.

 

 

?WRITTEN BY:-

MUFTI RAHMATULLAH QADRI

(FOUNDER OF MADARSAH ANWAARULISLAM LIL BANAT, TAYYAB NAGAR, MAHBUBNAGAR, TELANGANA)

CONTACT NO:96403 44146 +79890 94406.

 

You might also like