DARSE JAMIUT TIRMIZI – CHAPTER : ILM DAYS: 918/ HADEES NO :2872

Hazrat Sayyiduna Ali Bin Abu Talib Raziallahuanhu se Rivayat hai, kaha:RASOOLULLAH ﷺ ne farmaya: Mujh per Jhoot Mat Bolo,kyu ke Jo Mujh per Jhoot kahega wo Jahannam me jayega.

(Jamiut Tirmizi, Vol/2,Hadees No :2872),

Dars : Deen e islam me ek Behtreen ibadat wa khidmat Hadees e Paak ko Bayan karna aur usko Aam karna hai,lekin us Hadees ke Alfaaz ko Badal kar Bayan karna aur Jo BAA hadees me Na ho usko Hadees kahna ye Sab se Bad tareen Amal hai,jis Allah aur Rasoolullah Dono Na raa hote hain,aur Usko Jahannam me Dala jata hai..!!

●○ Aksar log Social Media per ya Apni Baato me Buzrugo ke Aqwaal ko sunkar use Hadees kahte hain,Jo Bilkul Ghalat hai,lehaza Jab Kisi Buzrug ya Wali ki Baat ko Bayan kare to us Baat ko us Buzrug ya Wali ki taraf hi Mansoob kare usko Hadees Na kahe kyu ke Buzrugo ke Aqwaal Hadees Nahi hote hai,

Haan,Agar koi Buzrug kisi Baat ko Hadees ke zariyeh pesh kare to Kitab ke Hawaleh ke saath Naqal kare to Behter hai.

Allah Hame Marte Dum tak Hadees ki khidmat karne wala Banaye..Ameen.

For more information please visit our website www.anwaarulislam.com.

 

 

?WRITTEN BY:-

MUFTI RAHMATULLAH QADRI

(FOUNDER OF MADARSAH ANWAARULISLAM LIL BANAT, TAYYAB NAGAR, MAHBUBNAGAR, TELANGANA),

CONTACT NO: 9640344146 + 79890 94406.

 

You might also like