DARSE JAMIUT TIRMIZI – CHAPTER : ILM DAYS: 920/ HADEES NO :2874

Hazrat Sayyiduna Mughirah Bin Shobah Raziallahuanhu se Rivayat hai, kaha,Rasoolullah ﷺ ne farmaya: JO koi Meri Taraf Nisbat karte huve Hadees Bayan kar raha ho aur use Maloom ho ke wo Jhoot hai,to uska Naam Jhooto me likha jayega.

(Jamiut Tirmizi, Vol/2,Hadees No: 2874),

Dars : Allah ki Nemato me se Badi Nemat insaan ka Sacha Dil aur uska Zameer hai,Jab yahi Kharab hojaye aur Burayi me mustafa hojaye to phir wo Hadees ko bhi Jhoote taur per Bayan karne me peeche Nahi hatega,aur uski wajah se uska Naam jhooto me likha jayega aur wo Dunya wa Akhirat me zaleel wa Ruswa hoga..!!

□□ Hadees e Paak ka Bada Maqam hai,Hadees ko Bayan karna aur usko pahlan Azeem ibadat hai,lehaza is ibadat wa khidmat ko kamil eiman wa Aqeedat ke saath karna chahiye jis se Bandeh ko Bada Ajr milega.

Allah Hame Hadees e Paak ko Behter Andaaz me Khidmat karne ki taufeeq ata farma..Ameen YA Rabbi..

For more information please visit our website www.anwaarulislam.com.

 

 

?WRITTEN BY:-

MUFTI RAHMATULLAH QADRI

(FOUNDER OF MADARSAH ANWAARULISLAM LIL BANAT, TAYYAB NAGAR, MAHBUBNAGAR, TELANGANA),

CONTACT NO: 96403 44146 + 79890 94406.

You might also like