DARSE JAMIUT TIRMIZI – CHAPTER : ILM DAYS: 921/ HADEES NO :2875

Hazrat Sayyiduna Abu Raafe Raziallahuanhu se Rivayat hai, kaha: RASOOLULLAH ﷺ ne farmaya: Mai Zaroor Ayse Shaks ko Pavunga Jo apne Masnad Pet tennis Laga kar Baitha huva hoga,to jab uske Paas mera koi Baat aye jiska maine Hukm Diya ho ya Maine Kisi Cheez se Roka ho to Wo Kahega ke “MAI USKO(HADEES) NAHI JAANTA HOON”Jo Cheez Quran me hum Paate hain,us per Amal karte hain.

(Jamiut Tirmizi, Vol/2,Hadees No :2875),

Dars : Hadees e Paak me Us Jamat wa firqeh ke bare me aya hai,Jo Quran ko Saamne rakh kar Hadees ko Chod dete hai,Jo ke bilkul Ghalat wa Gumrahi hai,ye firqah “AHLE QURAN” hai,Jo Quran ke Sahare Hadees ki itteba Nahi karta hai,khud bhi Gumrah hota hai,aur Doosro ko bhi Gumrah kardeta hai..!! Allah ummat ko ayse BAATIL Firqo se mahfooz rakhe..

◇◇ Hadees E shareef Quran se juda Nahi balke wo to Ek Maano me Quran ki hi tafseer hai,Jo hame islami Ahkamaat me madad karti hai,jabke Quran me Wazeh Namaz ka Tareeqah Nahi aya lekin wo Tareeqah hame Hadees ke zariyeh hi mila warna hamari Namaz adhuri hi rah jati ye Karam wa fazal apne Rasoolullah sallallahualihiwasallam ka ke apne hame Har Baat ki Rahnumayi farmayi warna ham to Na Jane Quran ko Sahi Samajh hi Na Paate aur gumrah hojate jaisake Bohat si jamaate gumrah hochuki hain.

Allah hame Quran wa Hadees per Sahi Andaaz me samajh kar amal ki taufeeq ata farma..Ameen.

For more information please visit our website www.anwaarulislam.com.

 

 

?WRITTEN BY:-

MUFTI RAHMATULLAH QADRI

(FOUNDER OF MADARSAH ANWAARULISLAM LIL BANAT, TAYYAB NAGAR, MAHBUBNAGAR, TELANGANA),

CONTACT NO: 96403 44146 + 79890 94406.

You might also like