DARSE JAMIUT TIRMIZI – CHAPTER : ILM DAYS: 926/ HADEES NO :2883

Hazrat Sayyiduna Anas Bin Malik Raziallahuanhu se Rivayat hai, kaha: RASOOLULLAH ﷺ ne farmaya: Ek shaks aapke Paas Sawari Talash me aya to wo apke paas sawari Na Paya to aap ne usko Ek Doosre shaks ki Rahnumayi farmayi to wo waha sawari pa liya baad me wo shaks aapke paas aya aur waqiya bataya to apne farmaya ke ” BHALAYI KI RAHNUMAYI KARNE WALA KHUD BHALAYI KARNE KE BARABAR HAI”.

(Jamiut Tirmizi, Vol/2,Hadees No:2883),

Dars : Dunya me BHALAYI aur khair ke Kaam karna Nemat wa Ibadat hai,jiska koi Misl Nahi ,haan agar Baaz bhalayi Asbaab Na hone ki wajah se Nahi karsake to Kam se kam koi Doosra wo karsakta ho to usko us BHALAYI ki taraf Rahnumayi ya Madad karde to Allah us Bandeh ko Bhi BHALAYI wa khair karne ke Barabar sawab ata karta hai.

Allah hame BHALAYI karne aur Bhalayi ki Rahnumayi karne wala Banaye..Ameen.

For more information please visit our website www.anwaarulislam.com.

 

 

?WRITTEN BY:-

MUFTI RAHMATULLAH QADRI

(FOUNDER OF MADARSAH ANWAARULISLAM LIL BANAT, TAYYAB NAGAR, MAHBUBNAGAR, TELANGANA),

CONTACT NO: 96403 44146 + 79890 94406.

You might also like